Thursday, September 2, 2010

man re tu har na man..

man mere tu har na man..........
jeet ka rasta hai kathin 
tujhe karne hai abhi jatan
man mere tu har na man..............
tujhme hai woh bat 
badal sakta hai tu itihas
raste nahi hai to kya
hausalon ki udan hai ,teri ek pahchan hai:
jeet sakta hai tu is samay ke chakr ko
vyarth na kar khud ko tu murakh
badal sakti hai har woh surat 
jisame tera man hai ,abhiman hai
man re tu har na man............
chod duniya ki tu chinta 
khud  ko kyun auro me ginta
teri rah mahan hai,
jeevan ka tu man hai
dole jab jeevan ki naiya 
khud ka tu ban ja khewaiya
sahilon ki tu pahchan hai 
manzilon ki tu shan hai
man re tu har na man.....................

No comments:

Post a Comment