Friday, September 3, 2010

''@@hat''

badal ki rimjhim bundo me jab teri aahat aati hai
bahati har purwayi me jab teri khushbu aati hai
kho jata  hai koi badal kisi parwat ki oat me
band ho jata koi bhramar jab kisi kumudini ki banh me
boond tapak kar jab patte se sargam banane lagti  hai
han phir aise mausam mujhe teri yad dilati hai
badal ki rimjhim bundo me jab teri aahat aati hai
bahati har purwayi me jab teri khushbu aati hai
pas nahi tu door sahi  par teri ek anubhuti hai 
sawan ki mad mast hawa me ye kaisi khamoshi hai
tujh bin jeevan ki kalpana bin badal barsat hai
dharati ko rahti jaise barkha ki pyas hai
badal ki rimjhim bundo me jab teri aahat aati hai
bahati har purwayi me jab teri khushbu aati hai

1 comment: