Saturday, July 30, 2011

main jo aadami hota

                  kudh ki kabra ager khod pata to aadmi hota
                                      wo jo kudh ko sare-aam bech pata to aadmi hota
                            mahaz do woqt ki roti  ban pati iman to aadmi hota 
                                                        kisi gair ki duniya ko apna ghar bana pata to aadami  hota
          bewazah roz roz jo koi tamasha bana pata to aadmi hota
                                           inshaniyat jo haiwaniyat me badal pati to aadmi hota 
                  badal chuki hai jo dunia ki rawyante
                                             badal chuki hai jo dunia ki rawyante 
un badalti rawanyaton me jo  kudh ko badal pata to aadmi hota

Wednesday, September 29, 2010

AHSAS

koi kahta hai ise kissa ,
                      koi samjhata hai kahani
mohbbat   ki duniya to hoti hai rumani ...
suru hoti hai  ankho se utarati hai  jo runho me
maunjo milti ho koi jaise samndar ki panaho me.
karati hai bekhauf sauda ye ankho se sanso ka
de jati kabhi dastak dabe panv baharon ka..
koi kahta hai ise kissa , 
                          koi samjhata hai kahani
mohbbat   ki duniya to hoti hai rumani ...
  kabhi jo khatm na  ho aisi dastan ye har roz kahti hai
dilon me dard banati hai kabhi roshan ye karti hai
mohbbat ki anch se sikti hai jab kai sardi ki rante
tadpate dil me rah jati hai jab kuch khone ki bante
han  banta hai tab koi kissa 
                                ya phir banti hai kahani
mohbbat   ki duniya to hoti hai rumani ...

Wednesday, September 8, 2010

main aam aadami

 do roti basta jeevan  a
                       chand kapdo se jo dhakta tan
jeevan ki bhagam bhag me
                               main aam aadami
subah ki pahli pahar me jab pair mere chal chalate hai
                             sabki chinta ,khud ki duvidha liye..
main aam aadami
                            ankhe hoti hai bojhal  jab  sapno ki aanh se 
manhgayi ghul jati ghar ki har muskan me
                        bhari kadmon se har sham lautata     
 main aam aadami
jeevan se sangharsh hun karta apni niyati se main ladta 
tyoharon par khush ho jab khali bartan se man ladta
ghar ki tuti chat se jab barish ki boond tapakti hai
netaon  ke wado se phir koi umeed ko bunta 
main aam aadami
chah nahi mujhe mahalon ki ,na hi rutabe auhadon ki
jeevan ka adhikar mangta , khud ka ek samman mangta 
main aam aadami
khone ko na raha hai ab kuch ,pane ko baki hai sab kuch 
tan bhar kapda man bhar roti ankhon me ashaon ki jypti
khushiyon ka sansar khojta
main aam aadami

Friday, September 3, 2010

''@@hat''

badal ki rimjhim bundo me jab teri aahat aati hai
bahati har purwayi me jab teri khushbu aati hai
kho jata  hai koi badal kisi parwat ki oat me
band ho jata koi bhramar jab kisi kumudini ki banh me
boond tapak kar jab patte se sargam banane lagti  hai
han phir aise mausam mujhe teri yad dilati hai
badal ki rimjhim bundo me jab teri aahat aati hai
bahati har purwayi me jab teri khushbu aati hai
pas nahi tu door sahi  par teri ek anubhuti hai 
sawan ki mad mast hawa me ye kaisi khamoshi hai
tujh bin jeevan ki kalpana bin badal barsat hai
dharati ko rahti jaise barkha ki pyas hai
badal ki rimjhim bundo me jab teri aahat aati hai
bahati har purwayi me jab teri khushbu aati hai

Thursday, September 2, 2010

man re tu har na man..

man mere tu har na man..........
jeet ka rasta hai kathin 
tujhe karne hai abhi jatan
man mere tu har na man..............
tujhme hai woh bat 
badal sakta hai tu itihas
raste nahi hai to kya
hausalon ki udan hai ,teri ek pahchan hai:
jeet sakta hai tu is samay ke chakr ko
vyarth na kar khud ko tu murakh
badal sakti hai har woh surat 
jisame tera man hai ,abhiman hai
man re tu har na man............
chod duniya ki tu chinta 
khud  ko kyun auro me ginta
teri rah mahan hai,
jeevan ka tu man hai
dole jab jeevan ki naiya 
khud ka tu ban ja khewaiya
sahilon ki tu pahchan hai 
manzilon ki tu shan hai
man re tu har na man.....................

Wednesday, September 1, 2010

ankhon ke galiyaron se

..............man mera jab bhar ata hai apni hi kuch baton se ,
                  sab kuch khali lagta hai jab jivan ki saugaton me;
'kuch khwab saja leti hun tab ankhon ke galiyaron me''
.........khud ko rang leti hun jab is berangi duniyan me main,
pal bhar me koi indra dhanush jivan me banane lagta hai,
tumko hi phir pa jati hun ankhon ke galiyaron me,
...........kisi ajnabi dagar jab ye jivan ki rah mujhe le jati hai,
tapne lagte hai pair mere kisi registani dharti per ,
man vichlit ho uthata hai jivan ki kadwahat se,
har kabhi jab jeet si anubhuti dene lagti hai....
vairagi man mera jab phir chanchal hone lagta hai ..........
tumko hi phir pa leti hun ankho ke galiyaron me..
.................ankhon ki hi bat kahi apni in bato me....
tumko khoya ,tumko paya main bas bas raton me .
''har nahi mani hai ab tak jivan se hai ek jid tab tak''
astitav banane ka apna aayam naya banaugi
teri ankhon ke sapno ko main pura kar jaungi
ankhon ke is sune pan main phir se bhar jaungi...
'' tum dekhoge uspar kabhi jab ankho ke galiyaron se''
badalon se nikalte nayi subah nam tere kar jaungi...