Wednesday, September 1, 2010

ankhon ke galiyaron se

..............man mera jab bhar ata hai apni hi kuch baton se ,
                  sab kuch khali lagta hai jab jivan ki saugaton me;
'kuch khwab saja leti hun tab ankhon ke galiyaron me''
.........khud ko rang leti hun jab is berangi duniyan me main,
pal bhar me koi indra dhanush jivan me banane lagta hai,
tumko hi phir pa jati hun ankhon ke galiyaron me,
...........kisi ajnabi dagar jab ye jivan ki rah mujhe le jati hai,
tapne lagte hai pair mere kisi registani dharti per ,
man vichlit ho uthata hai jivan ki kadwahat se,
har kabhi jab jeet si anubhuti dene lagti hai....
vairagi man mera jab phir chanchal hone lagta hai ..........
tumko hi phir pa leti hun ankho ke galiyaron me..
.................ankhon ki hi bat kahi apni in bato me....
tumko khoya ,tumko paya main bas bas raton me .
''har nahi mani hai ab tak jivan se hai ek jid tab tak''
astitav banane ka apna aayam naya banaugi
teri ankhon ke sapno ko main pura kar jaungi
ankhon ke is sune pan main phir se bhar jaungi...
'' tum dekhoge uspar kabhi jab ankho ke galiyaron se''
badalon se nikalte nayi subah nam tere kar jaungi...
 

No comments:

Post a Comment