Wednesday, September 8, 2010

main aam aadami

 do roti basta jeevan  a
                       chand kapdo se jo dhakta tan
jeevan ki bhagam bhag me
                               main aam aadami
subah ki pahli pahar me jab pair mere chal chalate hai
                             sabki chinta ,khud ki duvidha liye..
main aam aadami
                            ankhe hoti hai bojhal  jab  sapno ki aanh se 
manhgayi ghul jati ghar ki har muskan me
                        bhari kadmon se har sham lautata     
 main aam aadami
jeevan se sangharsh hun karta apni niyati se main ladta 
tyoharon par khush ho jab khali bartan se man ladta
ghar ki tuti chat se jab barish ki boond tapakti hai
netaon  ke wado se phir koi umeed ko bunta 
main aam aadami
chah nahi mujhe mahalon ki ,na hi rutabe auhadon ki
jeevan ka adhikar mangta , khud ka ek samman mangta 
main aam aadami
khone ko na raha hai ab kuch ,pane ko baki hai sab kuch 
tan bhar kapda man bhar roti ankhon me ashaon ki jypti
khushiyon ka sansar khojta
main aam aadami

1 comment: